Starting in market--Step By Step
Definition and common words of share market
1. Trading in Delivery : koi bhi share kisi value par kharidna or unlimited time ke liye apne pass rakhna delivery trading kehlata hain. For example humne reliance ka share 1500 rs mein karida and usko 3000 ka bhecha aur is doran hmare pass time ki koi kami nahi hain matlab chahe 1 -5-10 saal ya unlimited time ke liye kisi bhi share ko apne pass rakhna trading in delivery kehlata hain.
2.Trading in Intradey: Iska matlab hain kisi share mein 1 day ke liye invest karna matlab shares ko subah karid lena aur market 3.30 pr band hoti hain to us waqt aap ka share automatic sell ho jaayega .ismein aap chahe loss mein ho ya profit mein aapka share 3.30 par automatic bik jaata hain. For Example aapne reliance ka share 3000 ka subah subah liya aur 3.30 bje tak vo 3100 pahucha to bhi vo bik jaayega ya 2900 hain tab bhi sell ho jaayega .Ismein aap profit book karke 3.30 se phle bhi nikal sakte ho .
3.Option trading : ismein trader ko time limit milti hain 1 month ya 1 hafte according aap kis tarah ki trading karte ho. Matlab ki aapka share automatic 1 hafte baad sell ho jaayega chahe aap profit mein ho ya loss mein For Example maine reliance ka option liya ki yeh upar jaayega 1 hafte ke baad agar upar gya to mera faayda hoga agar vo niche gya tha loss aur agar vo same usi price par bhi raha to bhi mera loss hoga.isliye kehte hain share market mein jis chij mein time limit ho vo kabhi nahi karna chahiye .qki market ko ghumane vaale (operator) aapko kabhi jitne nahi denge.
If u are fresher and start investing in market first step is— In every market correction means in every dip/Niche Girne par shares buy karna chahiye .phle apna shares ET market ya screener ke through dhunde.kisi bhi blue chip shares mein invest kare and on every dip buy some shares .
Second step is never ever start trading in option market ,Intradey. isse dur isliye rehna chahiye qyuki is mein suru suru mein aapka graunteed profit hoga and after aap iske habitual ho jaayenge tab yeh apna asli roop dikhayega aap kabhi dekhna jab hum demat account open karvate hain to application suru hone se phle hume ye btati hain ki option market mein 100 mein se 99 log loss mein rhte hain.
Agar aap koi shares long term ke lete hain yaani ki paise lgakar bhulna chahte hain to mein long investment ke liye kahunga magar rooj roj ek share ko dekhkr aap long term investment nahi kar sakte hain.